dil-e-nadan tujhe hua kya hai akhir is dard ki dawa kya hai ham hain mushtaq aur wo bezar ya ilahi ye majara kya hai main bhi munh mein zaban rakhta hun kash pucho k mudda kya hai jab k tujh bin nahi koi maujud phir ye hangama, ai Khuda kya hai ye pari chehra log kaise hain gamaza-o-ishwa-o-ada kya hai shikan-e-zulf-e-ambari kyon hai nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai sabza-o-gul kahan se aye hain abr kya chiz hai hawa kya hai hamko unse wafa ki hai ummid jo nahi jante wafa kya hai han bhala kar tera bhala hoga aur darwesh ki sada kya hai jan tum par nisar karta hun main nahi janta dua kya hai main ne mana k kuch nahi 'ghalib'muft hath aye to bura kya hai
Thursday, April 10, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment