Friday, April 18, 2008

Aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN

zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai
ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai

Nai muzda-e-wisaal na nazzaara-e-jamaal
Muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai
Mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab

'Ai shauq, yaaN ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai
Gauhar ko ikd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna

Kya auj par sitaara-e-gauhar_farosh hai
Deedaar, waada, hausla, saaqee, nigaah-e-mast

Bazm-e-KHayaal maikada-e-be_KHarosh hai

Ei taaza waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
Zinhaar gar tumhaiN hawas-e-na-o-nosh hai

Dekho mujhe jo deeda-e-ibrat_nigaah ho
Meree suno jo gosh-e-naseehat_niyosh hai

Saaqee ba_jalwa dushman-e-imaan-o-aagahee
Mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai

Ya shab ko dekhte the; ki har gosha-e-bisaat
Daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh hai

Lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
Yeh jannat-e-nigaah woh firdaus-e-gosh hai

Ya subh dam jo dekhiye aakar to bazm meiN
Nai woh suroor-o-soz na josh-o-KHarosh hai

DaaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee
Ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai

Aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN
'GHalib', sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai

No comments: