Aah ko chaahiye ik 'umr asar hone tak
Kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?
Daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_kaam-e-nahaNg
DekhaiN kya guzre hai qatre pe guhar hone tak
Aashiqee sabr talab aur tamanna betaab
Dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?
Ham ne maana ke taGHaful na karoge, lekin
KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak
partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem
MaiN bhee hooN ik inaayat ki nazar hone tak
Yak_nazar besh naheeN fursat-e-hastee GHaafil
Garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz
Shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak
No comments:
Post a Comment