Saturday, April 26, 2008

Hai aur bhi duniya main sukhanwar bahut acchay

Hai aur bhi duniya main sukhanwar bahut acchay
kehtay hain ki ghalib kay andaaz-i-bayaan aur
Welcome to the blog Vijay Deo Jha Hazaaro Khvaahishe Aisii, I request to say that this blog is a sign of my huble respect to Galib whom I think the biggest influencing factor in my life. It is the product of many sleepless nights and brroding. What started out as a casual spark of idea soon turned into an obsession which I think would be appreciated by you the connoisseurs of Galib. Your comments are would boost up my spirit! Initially I though to bring all the collections of Galib on this blog.I am not an authority on Galib but think of myself as a humble and trusted servent of Galib after Kalu and the pet dog of galib.

Friday, April 25, 2008


woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ?woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ?
fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise ?zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN ?
======================================================
dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaashor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN ?
thee woh ik shaKHs ke tasavvur seab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN ?
======================================================
'eisa aasaaN naheeN lahoo ronadil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ?
hamse chooTa qamaar_KHaana-e-ishqwaaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN ?
======================================================
fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooNmaiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN ?
muzmahil ho gaye quwa'a 'GHalib'wo anaasir meiN 'eitdaal kahaaN ?
=======================================================

Friday, April 18, 2008

Aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN

zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai
ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai

Nai muzda-e-wisaal na nazzaara-e-jamaal
Muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai
Mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab

'Ai shauq, yaaN ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai
Gauhar ko ikd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna

Kya auj par sitaara-e-gauhar_farosh hai
Deedaar, waada, hausla, saaqee, nigaah-e-mast

Bazm-e-KHayaal maikada-e-be_KHarosh hai

Ei taaza waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
Zinhaar gar tumhaiN hawas-e-na-o-nosh hai

Dekho mujhe jo deeda-e-ibrat_nigaah ho
Meree suno jo gosh-e-naseehat_niyosh hai

Saaqee ba_jalwa dushman-e-imaan-o-aagahee
Mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai

Ya shab ko dekhte the; ki har gosha-e-bisaat
Daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh hai

Lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
Yeh jannat-e-nigaah woh firdaus-e-gosh hai

Ya subh dam jo dekhiye aakar to bazm meiN
Nai woh suroor-o-soz na josh-o-KHarosh hai

DaaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee
Ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai

Aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN
'GHalib', sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai

Friday, April 11, 2008

Aah ko chaahiye

Aah ko chaahiye ik 'umr asar hone tak
Kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?
Daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_kaam-e-nahaNg
DekhaiN kya guzre hai qatre pe guhar hone tak
Aashiqee sabr talab aur tamanna betaab
Dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?
Ham ne maana ke taGHaful na karoge, lekin
KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak
partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem
MaiN bhee hooN ik inaayat ki nazar hone tak
Yak_nazar besh naheeN fursat-e-hastee GHaafil
Garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz
Shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak

Thursday, April 10, 2008

dil-e-nadan tujhe hua kya hai

dil-e-nadan tujhe hua kya hai akhir is dard ki dawa kya hai ham hain mushtaq aur wo bezar ya ilahi ye majara kya hai main bhi munh mein zaban rakhta hun kash pucho k mudda kya hai jab k tujh bin nahi koi maujud phir ye hangama, ai Khuda kya hai ye pari chehra log kaise hain gamaza-o-ishwa-o-ada kya hai shikan-e-zulf-e-ambari kyon hai nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai sabza-o-gul kahan se aye hain abr kya chiz hai hawa kya hai hamko unse wafa ki hai ummid jo nahi jante wafa kya hai han bhala kar tera bhala hoga aur darwesh ki sada kya hai jan tum par nisar karta hun main nahi janta dua kya hai main ne mana k kuch nahi 'ghalib'muft hath aye to bura kya hai

Mirza Gualib

Hazaron Khvaahishe.n aisii ki har Khvaaish pe dam nikale bahut nikale mere armaa.N lekin phir bhii kam nikale Dare kyuu.N meraa qaatil kyaa rahegaa usakii gardan par vo Khuu.N jo chashm-e-tar se umr bhar yuu.N dam-ba-dam nikale
Nikalna Khuld se aadam kaa sunate aaye hai.n lekin bahut be-aabaruu hokar tere kuuche se ham nikale
bharam khul jaaye zaalim tere qaamat kii daraazii kaa agar is turraa-e-purapech-o-Kham kaa pech-o-Kham nikale
magar likhavaaye koii usako Khat to hamase likhavaaye huii subah aur ghar se kaan par rakkhar qalam nikale huii is daur me.n ma.nsuub mujhase baadaa-ashaamii phir aayaa vo zamaanaa jo jahaa.N se jaam-e-jam nikale
Hui jinase tavaqqo Khastagii kii daad paane kii vo hamase bhii ziyaadaa Khastaa-e-teG-e-sitam nikale
muhabbat me.n nahii.n hai farq jiine aur marane kaa usii ko dekh kar jiite hai.n jis kaafir pe dam nikale.
zara kar jor siine par ki tiir-e-pursitam nikale jo vo nikle to dil nikale jo dil nikale to dam nikale Khudaa ke vaaste pardaa na kaabe se uThaa zaalim Kahii.n aisaa na ho yaa.N bhii vahii kaafir sanam nikale.
Kahaa.N maiKhaane ka daravaazaa 'Ghalib' aur kahaa.N vaaiz par itanaa jaanate hai.n kal vo jaataa thaa ke ham nikale

Vijay Deo Jha has just created this blog

I love to die with my desire which i know would not fulfill. Thats why I created this blog.